Saturday, December 13, 2008

barasoun ke baad dekhaa ik shaKhs..

barasoun ke baad dekha ik shaKhs dil ruba sa ab zahan main nahain hai par naam tha bhala saabaruu khienche khienche se ankhain jhuki jhuki sebaatain ruki ruki se lahaja thaka thaka saalfaaz the ke jugnuu awaz ke safar mainban jaaye jangaloun main jis tarah raastaa saa Khwaaboun main Khwaab us ke yaadoun main yaad us kinendoun main ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa agalii muhabbatoun nay wo naa_muraadiyaaun dein taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thiban jaayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa tevar the beruKhi ke andaaz dosti ke wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahain tha pyaasaa ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

No comments: